Namak Swadanusar!

My first blog in Hinglish!! A food for thought!!

Aaj maine bohat ache Aaloo ke Parathe banaye the aur khush thi ke aaj breakfast me maza aajaega par jab coffee mug aur Parathe lekar khane bethi aur pehla bite liya to pata chala ki masale me namak dalna hi bhul gayi, sara mood kharab hogya. Hota hai na aisa aapke sath bhi?

Khane me Namak to thik hai na?

Hum aksar ye sawal puchte hai aur sunte hai, apne gharo me apne rishtedaro ke gharo me aur na jane kitni jagah par. Par kya humne kabhi socha hai is sawaal ka dusra pehlu bhi ho sakta hai jo sahi mayne me zindagi ko bohat prabhavit karta hai aur hume ehsaas bhi nahi hota.

Nai main koi khana banane ki recipe nai likhne wali, par ha aap sabke sath ek nayi recipe banana jarur chahungi.

Khushiyo ki recipe!!

Ek example lete hai, jab bhi hum koi exclusive cuisine banane ja rahe hote hai to internet pe sare options check karte hai ya phir apni maa se recipe ko puri measurements ke sath puchte hai and use step by step follow karte hai but did you ever notice that salt is left always to the taste.. Namak Swadanusar! Aap kahi bhi koi bhi recipe search kar lijiye chahe vo Sanjeev Kapoor ki ho ya Vikas Khanna ki , Puri ingriedients ke baad Namak akela Swadanusar hi reh jata hai.

Kya hai ye Swad anusar aur kyu hai ye Namak Swadanusar?

Kyuki sabka apna apna taste hai, health conditions hai? Hai na. To kyu na zindagi ki bhi kuch aisi hi recipe banaye jisme ingredients ki taur par sare elements ho aur namak ki jagah emotions, sentiments, attachment,hopes — swadanusar ho. Life kitni asan ho jaegi na, jab hume pata hoga ki kisko kitne swad ki jarurat hai, kaha kitna namak milana hai, na zyada kadwa ho na zyada phika ho aisa rishta banana hai.

Khane me namak kam hai ya zyada ki jagah, real life me agar hum ek dusre ko ye bata paye ki kaha kami hai aur kitna kam zyada karne ki jarurat hai to bohat si cheeze asan hoti chali jaengi, phir vo chahe professional front ho ya personal..Koi Measuring tool ho jisse ye pata rahe ki itna padhoge to first class paas ho jaoge, koi tbsp ye batate di ki itni effort milaoge to har kaam me successful ho jaoge. Hum sab par perfection ka ek anchaha sa pressure aur goal accomplishment ka bohat stress rehta hai, har baar hum yahi shikayat karte hai ki kitna bhi karlo kam hi padta hai..ye kam zyada ki mashakkat thodi aur asan hojati jo zindagi bhi namak ki tarah ek chutki me sama jati.

Kash ek aisa measuring cup ya spoon hota, jo hume kabhi chukne nahi deta ~~~~~ Food for thought!! ЁЯЩВ

#NamakSwadanusar

#VirtualSiyahi

2 thoughts on “Namak Swadanusar!

  1. One knows how much Namak one requires. But difficult to know how much Namak other expect from you. Until and unless you have very frank communication with him/her. He lets you know his expectations.

    Like

Your comments make my day ЁЯТЬ

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.