Meri Kahani Meri Zubani

Nahi janti kaise itna kuch likh jati hu

itni sari baatein yuhi keh jati hu

shabdo mein rehna mujhe acha lagta hai

man ka kuch bhi kehna muhe sachha lagta hai

zyada tol mol ke baatein karni mujhe aati nahi

yehi ek cheez hai jo meri zindagi mujhe sikhlati nahi

kuch hai mere andar jo mujhe chain se sone nahi deta

hasata kam hai par ha rone bhi nahi deta

tinka tinka khudko jodkar har bar khadi ho jati hu

na jane ye jazba kaha se le pati hu

par ha jazbaat hamehsa sache rakhe

iraade hmaesha pakke rakhe

har us bulandi ko chune ki koshish aaj bhi jari hai

meri ye khul kar sochne ki azadi mujhse sabse pyari hai

jitna khud ko pati hu utna hi kho jati hu

par ye khoj sabse nyari hai, is khoj bin me har bar kuch naya sikh jati hu

zindagi ko jeene ke naye mayne pa jati hu

 

Much love and gratitude

Priyanka

#virtualsiyahi

 

12 thoughts on “Meri Kahani Meri Zubani

Your comments make my day 💜

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.