Agar jo ye depression bhi gender biased hota
to socho kya hota
kya ye judge karta kisi ladke ko, jab vo tut kar rota
ya kisi ladki ko, jab uska koi kaam karne ka man na hota.
kya ye judge karta tumhare jine ka salikha
ya tumhare chehra ka rang jo abhi pada rehta hai aksar fika..
Kya ye tumhe mardangi ka tana deta
ya ladki ho isliye kamzor ho, ye kehta?
kya ye hasta tumhari mayusiyat par
ya tumhe kayar kehta
kya ye tumhare tum hone pe sawal uthata
ya tumhe khud ko dhundne deta
agar jo ye depression bhi gender biased hota
to na jane kya hota
par itna tay hai ki.. kisiko ko isse ek sa dard nahi hota
ladka ho ya ladki aadmi ho ya aurat ho
jab jehan ke taar dil ko satate
to ye tanav ek sa nahi hota
vo roz marra wali mashakkat ka karobar bhi na hota
ha mujhe pata hai.. ki mansik choto ki aah sunai nahi deti
kyuki hasi ke mukhote ke piche asli shakal dikhai nahi dete..
jo samjah pate baat itni se ye log to mere chehre pe ye mask nahi hota..
roz uthna aur uth kar khud ke liye khada hona ek roadies ka task nahi hota
par hume zindagi ki adat pad chuki hai
roz kapdo ke sang ye mask pehen liya karte hai
aur bas yuhi gungunate hue
do lafz likhkar zindagi ko ji liya karte hai…
love,priyanka